Increase your knowlege of Urdu by playing the Urdu HangMan game
Online Phansi Ghar game [Hang Man in Urdu] mobile phone(s) kay web browser(s) ko madd-e-nazar rakhtay howay takhleeq ki gayee hay. Koshish ki gayee hay kay chotee screen per bhee yeh game khailyee jaa sakay. Koi client side script (javascript) istaimaal nahee kee gayee hay. Tasaaweer (images) ko optimize kia gia hay taakeh kam say kam bandwidth istaimaal ho. Tasaaweer (images) istaymaal karnay ki aik or wajah yeh hay keh har web browser is ko dekha (render) sakay. Abhi tak saaray web browser may Unicode kee mukamal 'support' mojood nahee hay. Isi tarah bandwidth ki bachat kay liyay, ascii art or roman Urdu bhee istaimaal ki gayee hay. Classical ASP (Active Server Pages) istaymaal ki gayee hay taakeh HTML code may koi izaafi moowaad shamil naa ho saakay or 'generated' code per mutakammal control haasil ho. Zayada rang (color) ka istimal is liyay nahee kia gia hay keh 2 bit (depth) kay GIF images sab say kam file size kay hotay hain, yayhee wajah hay keh is web site per 2 rangon ka istimal kia gia hay.

Ilfaaz ki sirf 3 categories shaamil ki gayee hain, jo keh mandarja zail hain
- Mumaalik
- Khoraak (Phal, Sabzi waghaira)
- Jaanwar / Hasharaat

Note: Yeh game kamobesh har web browser per khaylee jaa sakti hay. Web browsers kay naam mandarja zail hain.
- Microsoft Internet Explorer
- Mozilla FireFox
- Opera (& Opera Mini)
- Apple Safari
- Google Chrome

( Phansi Ghar Khaylain ) | Click here for help
Home Page


Urdu Jini